Chehra
Ab har chehre mein uska khoobsurat chehra nazar aata hai,
Mere dil ka har raaz, uski ek muskurahat mein chhup sa jata hai.
Us chehre ki baat hi kuch alag hai, kaise karu uske husn ka bayan,
Meri nazar uspar thehri rahti hai, jaise chand se pyara wo asman.
Uski tareef me kya kahu, chand se tulna v kaise karu quki chera wo jo itna suhana lagta hai,
Sach kahu to ab to uske saamne chand v bilkul purana sa lagta hai!!
(Chalie to varnan karte hai uske us roop ki…..)
Aankhein uski jaise gehri jheel, jisme har khwab doob jata hai,
Woh nigahein hain jaise kaajal se likhi hui koi kahani, jo bas uspar hi sajta hai.
Uske modify kie hue baalon ka jadoo, jaise kaali raaton ka sama,
Ek jhalak jo mile, toh dil ban jata hai deewana mastana.
Ab baat aati hai us meethe se chashme ka, jaise ho barfi ki mithas,
Har andhera uske noor se ho jata hai udaas!!
Kya tarif karu us sundar si muskan ka,
Woh aisa lagta hai ki maano band hotho se nikal rahi ho narm hawa dastan ka.
Bas kami hai ek hi cheez ki jo mujhe kaafi pasand hai woh hai ek choti si kali bindi,
Jo is chehre ko aur bhi haseen bana de, jaise chaand par chandni.
Uske bad sharmati hui chhoti si muskurahat is haseen mukhre ko aur saja de,
Jaise kaliyon mein bahar, khilte phoolon ka aur khila de!!
Uff ab tum hi batao, lage kaise na dil is bepanah mukhde par,
Aisa lagta hai maano kismat ne koi saazish ki hai is asar.
Tumhari is saadgi ka kya hi kehna, bas itna pata hai,
Is saare jahaan mein tum bemisaal ho.
Tumhe apne husn ko sanwarne ki zarurat bhi kya hai,
Tum toh saadgi ki qayamat mein hi khoob kamaal ho!!
|