Nazm
Tu nazm banke sang chalna
Main shabd banke tujhme utaroon.
Shabdon ki dori banke tu, jehan mein utarna
Main bol banke tujhme samaoon.
Nazm jaise rag rag mein bas jaoon
Geet banke saavan jaise bahaaroon.
Tu sawal banke mujhe karna rubaru
Main jawab banke tujhme samet jaoon.
Tu raag jaise nazm ko tarashna
Main shringaar banke nazm shringaaroon.
Donon milke vaaky banayein
Har geet ko madhur sajayein.
Nazm ke bina feeka ho yeh jeevan
Ah bina kaise ho sangam.
Aao milke mitaayein jeevan se gham
Har pal nau rason se karke sansar ka beejan.
~Shruti
|