Love Poem: SIKHA RAHI HAI JINDGI
White  Hunter Avatar
Written by: White Hunter

SIKHA RAHI HAI JINDGI

Usse sabr karke jeena sikha Rahi hai jindagi
Jisse har chiz jidd karke pane ki aadt thi,

Usse un ankho ka intezar karna sikha Rahi hai jindagi
Jis  har waqk hazaro palke bichaye baithe kafile ki adat thi,

Usse unki ek Nazar ke liye tarsa rahi hai Zindagi
Jisse har gadhi nazro ke bazaar mei ghumne ki adat thi,

Usse bund bund karke Ishq karna sikha Rahi hai Zindagi
Jisse mohabbat kadmo mei rakhne ki adat thi,

Usse kisi ke liye sadgi mei rehna sikha Rahi hai jindagi
Jisse kabhi sholah shringar ki adat thi,

Usse ek ek pal ki kimat sikha Rahi hai jindagi
Jisse waqt paiso se tolne ki adat thi,

Aur phir log kehte hai ki jindgi sirph imtehan leti hai
Magar Miya koi hamse puche toh bataye
Usse kisi ke liye jeena sikha rahi hai jindagi
Jisse Marne ki chahto se ghire rehne ki adat thi