Love Poem: Tumhare Baare Me
Akash  Jha Avatar
Written by: Akash Jha

Tumhare Baare Me

Tumhare baare mein har baat jaanne ka junoon sa tha,
Aaj tumhari bohot aadate meri aadaton ka hissa hai jisme ek sukoon sa hai.
Achha batao na, ab bhi kuch janana baaki hai kya?
Ya phir jo jaana hai, bas itna hi kaafi hai kya?
Suno na, kuch kehna tha... chhodo, rehne do,
Tum to ho hi ziddi, chalo fir bataata hoon ||

Har ek baatein tumhari har pal apnapan sa laati hain,
Jaise pichle janmon ke kuch khaas rishton ki yaadein jagati hain.
Cuteness ka jaadu to hai hi tum me, par pata hai alag kya hai wo hai thodi sanjeedgi ke saath,
Ab agar ye tulna kia jaye to ye aise hai jaise chaand ki alta aur suraj ki baat ||

Apne kaam se jo lagan tum dikhati ho,
Pata hai tum hai na zindagi ko apni tariko aur saleekho ke sath sajati ho.
Chhoti se chhoti baat bhi yaad rakh leti ho,
Achha sach sach batana kya tum use dil ke panne par likhti ho.
Last aur ek bat batata hu jis tarah tumhara andaaz sabse juda hai,
Tumhari baatein bhi khud mein hi khuda hai ||