Waqt Ke Saaye Mein
Kyun tu accha lagta hai,
tere deedar se yeh dil dhadakta hai,
Kya hai ye taluq hamara,
waqt mila toh sochenge.
Jo alfaz khamoshi mai chhup gaye,
jo khwab adhoore reh gaye,
Woh kaise bayaan honge,
waqt mila toh sochenge.
Teri muskaan ka jaadu,
kyun chand se milta jata hai,
Kya raaz chhupa in aankhon mai,
waqt mila toh sochenge.
Dil ke har ek kone main,
sirf tera hi zikr kyun hai,
Kya hai yeh junoon ,teri hi fikr kyun hai,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Shab-e-tanhai ke lamhon main,
ya subah ke narm saaye main,
Kaun hai jo khayal ban jaata hai,
waqt mila toh sochenge.
Teri aankhon ki gehrayiyon main,
kya chand ki roshni basi hai,
Kya hai yeh noor-e-husn,
waqt mila toh sochenge.
Zindagi ke is hijr-o-wasl main,
kaun apna, kaun begana hai,
Is mohabbat ka haqiqi matlab,
waqt mila toh sochenge.
Dil ki dhadkanon ka sabab,
ye saanson ka silsila hai kya aakhir,
Jo uske deedar se tham jaati hain,
kabhi waqt mila toh sochenge.
Teri baaton ke sahil pe, khayalon ki lehar aaye,
Dil ki yeh beqarari , tujhe kaise samjhayen?
Mohabbat ka fasana hai, ya khwab hai adhoora sa,
Jo bhi hai yeh afsana, waqt mila toh sochenge.
|