Ye Dard-e-be-dawa Hai Aur Main Hoon
ye dard-e-be-dawa hai aur main hoon
magar ye dil-kusha hai aur main hoon
museebat aur lambi zindagaani
buzurgon kii dua hai aur main hoon
dayaar-e-ishq mein hoon aur labon par
tera hi tazkira hai aur main hoon
muqaddar ne nigaahen fer li hain
dukhon ka silsila hai aur main hoon
udhar to naam tera chal raha hai
idhar zikr-e-wafa hai aur main hoon
ghazal likhne chala furqat pe apni
radif-o-qaafiya hai aur main hoon
sunaau ehtishaam apni kahaani
yahan bas aaina hai aur main hoon
|